20070305

khud se ikk wada...




khud se ikk wada aur karna hai...
shuru ik dard-e-daur karna hai...
(dard-e-daur: pain experienced in wandering)

der se socha nahi hai jeene ko,
abhi us par bhi gaur karna hai...

hai mushqil tum ko bhool jana magar,
zulm yeh be - har taur karna hai...
(be - har taur: anyway)

choom lena hai tere khanjar ko,
youn kuch shikvaa-e-jaur karna hai...
(shikvaa-e-jaur: complaint about torture)

hua na tha khuda ka charcha meri mehfil mein,
yeh kaarnama ab tere ba - taur karna hai...
(ba - taur: by the way of)

1 comment:

Unknown said...

this is truly a beautiful ghazal....
khud se vaada zara soch samajh k kijiyega...kisiko bhhoolna aasan nahin yeh toh aapko maalom hi hai...phir bhi yeh kohshish karni hai?